Thursday, November 20, 2008

SENTI


JOKE KAVITAYEIN LOVE SENTI DOSTI HAPPY BIRTHDAY GOOD MORNING GOOD NIGHT

please visit on my new website latests shayari

Ada unki thi aur deewane hum bane,

Wafa woh na kar sake aur begane hum bane,
Yuh toh hazaro the bheed mein,
Shukriya unka jo unki nazaro ke nishane hum bane




Jarurat hi nahi alfaaz ki,
Dosti toh cheez hai ehsaas ki,
Paas hote toh baat hi kya hoti,
Dur se khabar hai hume aapki har saans ki





Mehfil mein kuch toh sunana padta hai,
Gum chupa kar muskurana padta hai,
Kabhi hum bhi dost the aapke,
Aaj kal aapko yaad dilana padta hai




Toote dil ne bhi uske liye dua mangi,
Meri sanso ne har pal uski khushi mangi,
Jaane kya dillagi thi ush bewafa se,
Jo maine aakhir khwaish mein bhi uski wafa mangi




Hum sms nahi karte hai toh unhe lagta hai,
Hume aadat hai paise bachane ki,
Par woh nadan kya jaane ye bhi ek ada hai,
Doston ko apni kami ka ehsaas dilane ki




Dil ke kehne pe dil ki duniya chod aaye,
Sabhi rishton se muh modh aaye,
Humse na mangna heesab wafai ka yaaron,
Unki chahat mein na jaane kitno ke dil thod aaye




Aankhon mein aansu ki chamak aaj bhi hai,
Usko mere pyar par shaq aaj bhi hai,
Naav mein beith ke haath dhoye the ushne,
Samundar mein mehendi ki mahek aaj bhi hai




Woh keh gaye ki mera intezar mat karna,
Mein kahu bhi toh mujh pe aitbaar mat karna,
Woh kehte hai ki mujhe tujhse mohabbat nahi,
Par phir bhi tum kisi aur se pyar mat karna




JINKI DOSTI MEIN HUM DEEWANE HO GAYE,
WO HUMSE HI BEGANE HO GAYE,
SHAYAD UNHE TALASH HAI NAYE DOST KI,
AB UNKI NAZAR MEIN HUM PURANE HO GAYE





Har raat nayi dhun gaati hai,
Har phool se khushboo jarur aati hai,
Ab aap yaad kare ya na kare,
Hume toh aapki yaad jarur aati hai




Reh na paoge kabhi bhula kar dekho,
Yakin na aata ho toh aazma kar dekho,
Har jagah mehsus hogi humari kami,
Apni mehfilo ko kitna bhi saja ke dekho





Tears are more truthful than smile,
Because you can smile in front of everyone,
But you will cry only in front of one,
Who is special to you




Bahut kam hote hai jamane mein log aise,
Sachi chahat ki jinhe pehchan hoti hai,
Soch lena kisi pe marmitne se pehle,
Ki gawane ke liye ek hi jaan hoti hai




Zindagi mein kuch lamhe khas ban gaye,
Mile toh mulakat ban gaye,
Bichde toh yaad ban gaye,
Aur jise hum kabhi na bhulenge wo aap ban gaye




Kabhi phool kabhi hawa bankar choo jayenge,
Hum toh marke bhi saath nibhayenge,
Kabhi tanhai mein yaad karna hme,
Aansu banke ankhon mein chale ayenge





Kuch mithe pal yaad aate hai,
Palkon par aansu chod jaate hai,
Kal koi aur mile toh hume na bhulna,
Kuch anjanese rishtey zindagi bhar kaam aate hai





Khubhiya itni toh nahi hum mein,
Ki tumhe har pal yaad ayenge,
Par itna aitbaar hai hume khud pe,
Ki aap kabhi hume bhool bhi na payenge





Bhula dena ushe jo rula jaaye,
Yaad rakhna ushe jo nibha jaaye,
Vaada aapse karenge bahut log,
Magar apne dil ki baat kehna ushe,
Jiske bina Ek pal na jiya jaaye





Khuda ne sapne mein kaha,
Apne gamo ki yuh numaish na kar,
Apne naseeb ki yuh azmaish na kar,
Jo tera hai tere dhar par khud aayega,
Roz roz ushe pane ki khwaish na kar




Beshak wo nahi karte baat kabhi,
Phir unse milne ko dil bekarar kyun hai,
Unki yaad toh ab raat ko sone bhi nai deti,
Na jaane hum ko unse itna pyar kyun hai




Agar tu prayo ki sunegi toh haar jayegi,
Hum jaisa pyar phir tu kaha payegi,
Jaan dene ki baat toh sabi karte hai,
Par zindagi banane wala tu kaha se layegi




Toote dil ne bhi uske liye dua mangi
Meri sanso ne har pal uski khushi mangi
Jaane kya dillagi thi ush bewafa se jo
Maine aakhri khwaish mein uski wafa mangi




Unse milke jaise bichadna toh dastur ho gaya
Yaadon mein unki dil mazbur ho gaya
Kasur nahi ishme unka
Humari chahat hi itni thi ki unhe gurur ho gaya




Umar bhar usshe mujhe pyar raha
Uski wapsi ka sada intezar raha
Ushne vaada kabhi nahi nibhaya
Phir bhi mujhe ush par aitbaar raha




Hansi ne labo pe thirkna chod diya
Sapno ne neendo mein aana chod diya
Nahi aati ab toh hichkiya bhi
Shayad apno ne yaad karna chod diya




Lambi hai manzil aur dur hai kinara
Yaar kyun nahi aata SMS tumara
Bhool gaye number yah naam humara
Intezar karta hai aapka yeh dost poorana




Milte hai acche dost khush naseebo ko
Isliye humari kismat se jalna chod dijiye
Tamanna ho agar humare dost se milne ki toh
Jaa kar aainay ki taraf mooh maud lijiye





Mohabbat karne walo ko, inkar accha nahi lagta
Duniya walo ko yeh ikrar accha nahi lagta
Jab tak nahi hoti, aashiq ki maut
In zalim haseenao ko, pyar sacha nahi lagta





Na jaane konsi baat aakhri ho
Na jaane konsi raat aakhri ho
Haal chal poochte raha karo humse
Na jaane konsi sans aakhri

No comments: