Thursday, November 20, 2008

KAVITAYEIN


जो रहते हैं दिल में

जो रहते हैं दिल में,
वो जुदा नही

कुछ भाव लफ्जों में,
बयां नहीं होते।

एक हसरत है,
उन्हें मनाने की

वो इतने अच्छे हैं,
कि खफा नही होते।





अहसासों

कोई दीवाना कहता है कोई पागल समझता है
मगर धरती की बेचैनी को बस बादल समझता है

मै तुझसे दूर कैसा हू तू मुझसे दूर कैसी है
ये मेरा दिल समझता है या तेरा दिल समझता है

मोहबत्त एक अहसासों की पावन सी कहानी है
कभी कबीरा दीवाना था कभी मीरा दीवानी है

यहाँ सब लोग कहते है मेरी आँखों में आसूं है
जो तू समझे तो मोती है जो ना समझे तो पानी है




PYAR SACHA NAHI LAGTA

Mohabbat karne walo ko
Inkar accha nahi lagta
Duniya walo ko yeh
Ikrar accha nahi lagta

Jab tak nahi hoti
Aashiq ki maut
In zalim haseenao ko
Pyar sacha nahi lagta




TUMHE KAISE BHOOLA PAATE

Zindagi mein kabhi kabhi aisa hota hai
Aankhe hasti hai par dil rota hai
Jise hum apni manzil samajte hai
Uska humsafar koi aur hota hai

Uski berukhi ko bhi rootba diya humne
Dosti ka har farz ada kiya humne
Mat soch ki humne bhoola diya tumko
Aaj phir tumse pehle tumhe yaad kiya humne

Tumse door kaise reh paate
Dil se tumko kaise bhoola paate
Kaash tum sapno ke alawa sheeshe mein base hote
Khud ko bhi dekhte to tum nazar aate.




YEH ISHQ HAI

Ishq wahe jaam nahi
Jo chalak jaaye pemane se
Yeh toh woh dariya hai
Jo badta hai cimat jaane se

Na koi kare kisi se
Mohabbat issh kadar
Ki nashe ko nasha bhi
Ho jaaye mekhane se




APNO KE LIYE WAQT NAHI

Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi
Din Raat Daudti Duniya Mein
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi

Maa Ki Loree Ka Ehsaas Toh Hai
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi
Saare Rishton Ko Toh Hum Maar Chuke
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi

Saare Naam Mobile Mein Hai
Par Dosti Ke Liye Waqt Nahi
Gairon Ki Kya Baat Kare
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi

Aankhon Mein Hai Neend Badee
Par Sone Ka Waqt Nahi
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi

Paison ki Daud Mein Aise Daude
Ki Thakne Ka Bhi Waqt Nahi
Paraye Ehsason Ki Kya Kadar Kare
Jab Apne Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi

Tu Hi Bata E Zindagi
Issh Zindagi Ka Kya Hoga
Ki Har Pal Marne Walon Ko
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi ...............




CHAND LAMHEN BACHE HAI

Chand lamhen bache hai
Tere mere saath ke
Mumkin hai ke bichar jaayen
Bina mulakat ke

Kahan aansuon ki yeh saugaat hogi
Naye log honge nayi baat hogi
Main har haal me muskurati rahoongi
Agar tumhari mohabbat mere saath hogi

Chiragon ko mehfooz rakhna aankho mein
Badi dhur tak andheri raat hogi
Musafir hoon main bhi, Musafir ho tum bhi
Phir kahin, kisi mod par mulaqat hogi




DUNIYA HAI DOSTON SE

Khushi bhi doston se hai
Gum bhi doston se hai
Takrar bhi doston se hai
Pyar bhi doston se hai

Roothna bhi doston se hai
Manana bhi doston se hai
Baat bhi doston se hai
Misaal bhi doston se hai

Nasha bhi doston se hai
Shaam bhi doston se hai
Zindagi ki shuruvaat bhi doston se hai
Zindagi mein mulakaat bhi doston se hai

Mohabbat bhi doston se hai
Inaayat bhi doston se hai
Kaam bhi doston se hai
Naam bhi doston se hai

Khyal bhi doston se hai
Armaan bhi doston se hai
Khwab bhi doston se hai
Maahol bhi doston se hai

Yaadein bhi doston se hai
Mulakaatein bhi doston se hai
Sapne bhi doston se hai
Apne bhi doston se hai

Ya yuh kahoon yaaron
Apni to duniya hi doston se hai.




KAASH KABHI HOTA

Kaash kabhi hota yeh mere ikhtiyaar mein
Main rang deta jaana tujhe apne pyar mein

Main itna pyar deta tujhe jaan-e-aarzoo
Tum khud ko bhula dete mere aitbaar mein

Tum jo kabhi boolate mulakat ke liye
Bechain hoke phirte mere intezar mein

Main der se jo aata naraz hoke tum
Har baat ka jawab dete inkaar mein

Tum to kisi baat par mujhse rooth jate
Main tumhe manata bade israar mein

Maan kar tum mujhse sirf yehi kehte
Hai yakinan nahi kami koi tere pyar mein
Kaash kabhi hota yeh mere ikhtiyaar mein
Main rang deta jana tujhe apne pyar mein




UNKE INTEZAR MEIN

Woh jante hai ki hum
Unke intezaar mein hai..
Isliye shayad woh
Der laga rahe hai,
Waqt kat-ta nahin
Unke bina hamara..
Yeh jante hue bhi
Hame sata rahe hai,
Na jane kya milta hai
Unhe hame yuh sata kar
Jo der se akar bhi
Woh muskara rahe hai




ANJAN HOON MEIN

Har Shuba Nikal Padta Hai Jo Khud Ki Talash Mein
Woh Khoyi Hui Si Ek Pahchan Hoon Main..........

Na Ankhon Mein Khwab Hai Na Dil Me Tamanna Koi
Apni Banayi Hui Rahon Se Hi Anjan Hoon Mein..........

Kabhi zara Si Baat Par Ansu Baha Deta Tha
Aaj Raha Mein Padhi Laash Ki Tarah Bejan Hoon Mein..........

Ankhon Mein Khwab Sanjone Ki Bhi Saza Hui Hai Mujhe
Khilne Se Pehle Hi Jo Toot Jaye Aisa Ek Armaan Hoon Mein..........

Kis Kadar Fareb Karta Hai Samandar Ek Kashti Se.
Is Zindgi K Har Zulm Ki Nigehban Hoon Mein.

Jane Kitne Hi Armaan Dafana Chuka Hoon Is Dil Mein.
Ab To Lagta Hai Jaise Khud Hi Ek Kabrastan Hoon Mein




JEE CHAHTA HAI

Teri zulfo ke sahe mein
Mar mitne ko jee chahta hai.........

Teri aankhon ke samundar mein
Dhoob jaane ko jee chahta hai..........

Tere shiva aur kuch bhi
Yaad nahi mujh ko.........

Apne wazood ko tere ishq mein
Kho dene ka jee chahta hai.............




INTEZAR

Jab hum yeh duniya chod jayenge
Yeh mat samajna ki
Aapko bhool jayenge
Ek bar aasman ki taraf
Nazar utha kar dekhna
Tab bhi hum aapko
Aapka intezar karte
Nazar aayenge



CHAHAT

Chahe jo tume poore dil se
Milta hai wo bahut muskilo se
Aiaa jo koi kahi hai
Bas wohi sabse haseen hai
Ussh haath ko thamlo
Kya pata wo meherbaan
KAL HO NA HO



MBA WOH HAI

MBA woh hai
Jo aksar phasta hai
Interviews ke sawaal mein
Badi companiyon ke jaal mein
Boss aur client ke bawaal mein

MBA woh hai
Jo pak gaya hai
Meetings ki jhelai mein
Submission ki gehrai mein
Team work ki chataai mein

MBA woh hai
Jo laga rehta hai
Schedule ko failane mein
Targets ko khiskane mein
Roz naye bahaane banana mein

MBA woh hai
Jo lunch time mein breakfast kart hai
Jo dinner time mein lunch karta hai
Aur commutation ke waqt soya karta hai

MBA woh hai
Jo paagal hai
Chai aur samose ke pyaar mein
Cigerette ke khumaar mein
Bird watching ke vichaar mein

MBA woh hai
Jo Khoya hai
Reminders ke jawaab mein
Na milne waale hisaab mein
Behtar Bhavishya ke khwaab mein

MBA woh hai
Jise intezaar hai
Weekend nights par dhoom machine ka
Boss ke chutti pe jaane ka
Increment ki khabar aane ka

MBA woh hai
Jo sochta hai
Kaash padhaai par dhyan diya hota
Kaash teacher se panga na liya hota
Kaash ishq na kiya hota



AACHA DOST

Kisi ne pucha dosti kya hai,
Maine kanto pe chal ke bata diya,

Kitna pyar karoge dost ko,
Maine pura aasman dikha diya,

Kaise rakhoge dost ko,
Maine halke se phulon ko sehla diya,

Kisi ki nazar lag gayi to,
Maine palko me usko chupa liya,

Jaan se bhi pyara dost kise kehte ho,
Maine aapka naam bta diya,
ku thik kiya na maine now happy dear





LIFE OF BOYS

Computer hai, Net nahi
Kapde hai, Press nahi
Lecture hai, Attendance nahi
Mobile hai, Balance nahi
Bike hai, Petrol nahi
Friends hai, Girl friend nai
Exam hai, Tension nahi
Padhna hai, Mood nahi
DONT WORRY BE HAPPY ENJOY YOUR LIFE ...............





KHUL GAYE SCHOOL

Khul gaye school, chuttiyan hui khatam
Thamo sab apni copy, nayi nayi kalam
Dhundon baste aur kitabe, kahi hai jute kahi jurabe
Silwani hai uniform, roz bajayegi ghadi alarm

Wahi homework aur padhai, khule school samat aayi
School mein adiyapak gurrate
Ghar mein papa dhant peelate
Nahi chalega koi bahana, roz padega school jaana

Kaash na khatam ho paati chuttiyan
Kuch din karte aur mastiyaaaaaaa




ZINDAGI KA SACH

Insaan duniya se jeet jaata hai
Aur apno se haar jaata hai
Sikandar ho kar bhi
Khud ko tanha paata hai

Zindagi nikal jaati hai
Jab tak sambhalna aata hai
Yeh kaisa safar hai zindagi ka
Jo mar kar samaj mein aata hai

Duniya mein akela aata hai
Aur akela chala jaata hai
Bich ka faasla khatam nahi hota
Yeh khud hi khatam ho jaata hai

Mittee ka bana khilona
Rakh ban jaata hai
Insaan duniya se jeet jaata hai
Aur apno se haar jaata hai

No comments: